top of page
Search
aviabomba6144

Nayi Dagar Naya Safar Kadam Mila Ke Chal Mp3 76: The Song that Motivates You to Achieve Your Goals



HAAY JAB MADINE SEY CHALA Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3 Apne hamraah suwe karbobala (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2 Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa. Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai. Jab koi paas na honga baba Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai meraChacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2 ***********************


TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO AY SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO Darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho Tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho Tum bazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho Tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho Ay gham ke lamdaro kis baath may tum kam hoRasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho Mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho Insaan ki azmath ke har baath may shaamil ho Zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho Matam ke talabgaro kis baath may tum kam ho Nisbath hai payambar se nisbath tumhay Hyder se Is nisbath-e-maula se tum door rahe shar se Tum aankh milate ho har waqt sithamgar se Jo dars mila tumko salman-se-buzar se Tum roop wohi dharo kis baath may tum kam ho Abbas ke parcham se seekhi hai wafadari Aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari Kismath se mili tumko mazloom ki ghamkhari Zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari Mazloom ke gham khaaro kis baath may tum kam ho Zainab ki rida tumse karthi hai sawaal aisa Kis gham may bahaathe ho aankon se lahoo apna Kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda Laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho Kya dars liya tumne Akbar ki jawani se Kya seekha batao to karbal ki kahani se Math behko qateebo ke alfaaz-o-mawani se Mehfooz haqeeqath ko rakhna hai kahani se Ay ilm ke mayyaro kis baath may tum kam ho Masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi Tum Hur ki tarha maango ek raat may azaadi Darbar may zaalim ke kyun bante ho faryadi Sajjad ne jis tarha deeware sitham dhaa-di ghaadi Deeware sitham ghaado kis baath may tum kam hoTum nahje balagha ki tafseer may dhal jao Hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao Mazloom ko math chedo zaalim se na ghabrao Haq baath jo kehna hai suli pe bhi douh-raoo Allah ke naqqaro kis baath may tum kam ho Shabbir ke matam may imaan ki hararath hai Ye ayne ibadath hai ye ayne shariyyath hai Shabbir ke paykar may islam ki nusrath hai Khanjar ke talay dekho qaim jo ibadath hai Maula ke tarafdaro kis baath may tum kam ho Socho tho zara manzar tum shaam-e-ghareeban ka Ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka Pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka Kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka Samjho to samajhdaro kis baath may tum kam ho Pyasa tha labe dariya wo lakhte dil-e-Zehra Aankhon se barasta tha ghurbath may lahoo jiska Wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha Haathon pe tadaptha tha pani ka na tha khatra Us waqt ke jaabaro kis baath may tum kam ho Halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti Shabbir ki nusrath ki dil may jo tamanna thi Kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki Awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi Jalte huwe angaaro kis baath may tum kam ho Tum raahay sadaqath se imaan ki hararath se Kirdaare imamath se afkaare risaalath se Tum shaukhe shahadath se maula ki inayath se Islam ki qidmath se mayyaare mohabbath se Tareek nayi likhdo kis baath may tum kam hoImaan hai azadaari hai deen ki bedaari Jarraari-o-karraari hai azme wafadari Himmath na agar haari zinda rahi khuddari Miljayegi sardari Hyder ki tarafdari Karke to zara dekho kis baath may tum kam ho REHAAN PE SARWAR pe maula ki inayath hai Nowhe ki azaano may matam ki ekhamath hai Sach poocho ko dono ki har saans ibadath hai Ay ehle aza tumko matham ki jo daawath hai Mu mod ke math jaao kis baat may tum kam ho ***********************




nayi dagar naya safar kadam mila ke chal mp3 76

2ff7e9595c


1 view0 comments

Recent Posts

See All

Kommentarer


bottom of page